Bismil Saeedi

shab-e-gham aish ka muzhda sunane kaun aata hai

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
shab-e-ġham aish kā muzhda sunāne kaun aatā hai
ye mere āñsuoñ meñ muskurāne kaun aatā hai
Thahar saktā nahīñ siine meñ jab dil muztarib ho kar
sukūñ ban kar mire pahlū meñ jaane kaun aatā hai
kuchal detī hai jab ehsās ko sanjīdgī ġham kī
sharārat se mirā dil gudgudāne kaun aatā hai
bhayānak tīrgī meñ ġham kī jab dam ghuTne lagtā hai
charāġh-e-kushta-e-ishrat jalāne kaun aatā hai
shab-e-ġham dil pe chhā jaatā hai jab ik huzn-e-be-ḳhvābī
nashāt-e-rūh ban ban kar sulāne kaun aatā hai
vafūr-e-yās kar detā hai jab labrez-e-ġham dil ko
ḳhushī ban kar mire dil meñ samāne kaun aatā hai
ajal ke tez qadmoñ kī jab aahaT aane lagtī hai
ba-andāz-e-masīhā.ī sirhāne kaun aatā hai
mirā dil Dūbne lagtā hai jab ġham ke samundar meñ
mirī kashtī ko sāhil se lagāne kaun aatā hai
nazar aatā hai jis meñ ishrat-e-māzī kā mustaqbil
mujhe is ḳhvāb-e-ġhamgīñ se jagāne kaun aatā hai
Top Urdushayar.com