tire firāq meñ ghuTnoñ chalī hai tanhā.ī
ḳhayāl o ḳhvāb meñ phūlī-phalī hai tanhā.ī
tire ḳhayāl tire hijr ke vasīle se
tasavvurāt meñ ham se milī hai tanhā.ī
jamāl-e-yār meñ khoyā huā hai sannāTā
ḳhayāl-e-yār meñ Duubī huī hai tanhā.ī
kisī ke shoḳh badan kī zarūratoñ kī tarah
tamām raat sulagtī rahī hai tanhā.ī
tumhārī zulf-e-mo.ambar kā aasrā le kar
hamārī fikr o nazar meñ palī hai tanhā.ī
shab-e-firāq ke maare nahīñ ho tum parvāz
tumhārī fikr pe kyuuñ jam ga.ī hai tanhā.ī