soch dī hai javāb bhī de
kuchh to yārab hisāb bhī de
qatra qatra sharāb barse
thoḌā thoḌā azaab bhī de
chāhatoñ ke to silsile haiñ
mausamoñ kā shabāb bhī de
ik kinārā hai dūsrā bhī
pāniyoñ meñ habāb bhī de
jis ke kāñTe bhī mujh ko chūmeñ
koī aisā gulāb bhī de
dhuup hañstī hai vāhime bhī
tīrgī de sarāb bhī de
aag bastī kā rahne vaalā
rañg-e-gardish-e-sahāb bhī de
lamhe-bhar meñ hazār ḳhvāhish
banda-parvar javāb bhī de
mohabbatoñ kā azaab jhelūñ
nafratoñ kā savāb bhī de
terā merā hisāb kaisā
ḳhvāb huuñ aur ḳhvāb bhī de
kun to merā vajūd hai huuñ
lafz utreñ ḳhitāb bhī de
maiñ payambar nahīñ huuñ tauba
aañkh dī hai kitāb bhī de
maiñ to apne tavāf meñ huuñ
rāh-e-ḳhāna-ḳharāb bhī de