Bismil Saeedi

rahne ko hum qafas mein rahe aashiyan se dur

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
rahne ko ham qafas meñ rahe āshiyāñ se duur
lekin chaman meñ thī ye jagah āsmāñ se duur
is qurb se jo sajdoñ meñ tujh se huā mujhe
sajde bhī haiñ muqāblatan āstāñ se duur
jitnā maiñ āshiyāñ meñ qafas se qarīb thā
utnā hī ab qafas meñ huuñ maiñ āshiyāñ se duur
hāsil na jis kī ruuh ko ho qurb-e-mai-kada
vo nā-murād rahmat-e-pīr-e-muġhāñ se duur
tujh se bhī duur tak koī aisī jagah nahīñ
mahfil meñ apnī to nazar aa.e jahāñ se duur
is nā-murād se jo tire āstāñ pe hai
achchhā hai bad-nasīb jo hai āstāñ se duur
ab tak koī batā na sakā rāh-e-ishq meñ
manzil kahāñ se paas hai 'bismil' kahāñ se duur
Top Urdushayar.com