Iqbal Azeem

ai ahl-e-wafa dad-e-jafa kyun nahin dete

Iqbal Azeem

Meerut, Uttar pradesh, India

1913-2000
ai ahl-e-vafā dād-e-jafā kyuuñ nahīñ dete
so.e hue zaḳhmoñ ko jagā kyuuñ nahīñ dete
is jashn-e-charāġhāñ se to behtar the añdhere
in jhūTe charāġhoñ ko bujhā kyuuñ nahīñ dete
jis meñ na koī rañg na āhañg na ḳhushbū
tum aise gulistāñ ko jalā kyuuñ nahīñ dete
dīvār kā ye uzr sunā jā.egā kab tak
dīvār agar hai to girā kyuuñ nahīñ dete
chehroñ pe jo Daale hue baiThe haiñ naqābeñ
un logoñ ko mahfil se uThā kyuuñ nahīñ dete
tauba kā yahī vaqt hai kyā soch rahe ho
sajde meñ jabīnoñ ko jhukā kyuuñ nahīñ dete
ye jhūTe ḳhudā mil ke Dubo deñge safīna
tum hādī-e-bar-haq ko sadā kyuuñ nahīñ dete
Top Urdushayar.com