Iqbal Azeem

hum bahut dur nikal aae hain chalte chalte

Iqbal Azeem

Meerut, Uttar pradesh, India

1913-2000
ham bahut duur nikal aa.e haiñ chalte chalte
ab Thahar jaa.eñ kahīñ shaam ke Dhalte Dhalte
ab ġham-e-zīst se ghabrā ke kahāñ jā.eñge
umr guzrī hai isī aag meñ jalte jalte
raat ke ba.ad sahar hogī magar kis ke liye
ham hī shāyad na raheñ raat ke Dhalte Dhalte
raushnī kam thī magar itnā añdherā to na thā
sham-e-ummīd bhī gul ho ga.ī jalte jalte
aap va.ade se mukar jā.eñge rafta rafta
zehn se baat utar jaatī hai Talte Talte
TuuTī dīvār kā saaya bhī bahut hotā hai
paañv jal jaa.eñ agar dhuup meñ chalte chalte
din abhī baaqī hai 'iqbāl' zarā tez chalo
kuchh na sūjhegā tumheñ shaam ke Dhalte Dhalte
Top Urdushayar.com