gila to aap se hai aur be-sabab bhī nahīñ
magar irāda-e-iz.hār zer-e-lab bhī nahīñ
maiñ chāhtā huuñ ki apnī zabāñ se kuchh na kahūñ
maiñ sāf-go huuñ magar itnā be-adab bhī nahīñ
jafā kī tarah mujhe tark-e-dostī bhī qubūl
malāl jab bhī na thā mujh ko aur ab bhī nahīñ
guzar gayā vo talabgāriyoñ kā daur ba-ḳhair
ḳhudā kā shukr hai kab fursat-talab bhī nahīñ
mizāj-e-vaqt se tañg aa chukā hai merā zamīr
mire usuul badal jaa.eñ to ajab bhī nahīñ
ga.e dinoñ kā fasāna hai ab hamārā vajūd
vo muflisī bhī nahīñ hai vo roz-o-shab bhī nahīñ
javāb dūñgā maiñ kuchh mujh se pūchh kar dekho
abhī maiñ hosh meñ huuñ aisā jāñ-ba-lab bhī nahīñ
hasab-nasab kī jo pūchho to shajara pesh karūñ
ḳhitāb koī nahīñ hai mirā laqab bhī nahīñ