nigāh-e-nāz tirī jab se kārsāz nahīñ
jigar meñ dard nahīñ qalb meñ gudāz nahīñ
nafas nahīñ koī aisā ki jāñ-gudāz nahīñ
ye merā ishq hai zāhid tirī namāz nahīñ
jise farishtoñ se qudrat chhupā ke rakhtī hai
sharāb-ḳhāne meñ vo raaz koī raaz nahīñ
havas kī zindagī-e-jāvedāñ pe la.anat hai
balā se umr-e-mohabbat agar darāz nahīñ
ta.alluqāt mohabbat kī jaan hotī hai
vo ik nigāh ba-zāhir jo dil-navāz nahīñ
tirī jafāoñ pe hai naaz jis qadar mujh ko
mujhe vafāoñ pe bhī apnī itnā naaz nahīñ
agar kisī kī mohabbat meñ koī raaz na ho
to phir kisī kī mohabbat to koī raaz nahīñ
nigah bhī jurm kabhī jurm-e-be-nigāhī bhī
kisī usuul pe vo jalva-gāh-e-nāz nahīñ
maiñ be-niyāz sahī tum se bhī mohabbat maiñ
magar tumhārī mohabbat se be-niyāz nahīñ
tum apne husn kī khā kar qasam mukar jaao
agar tumhārī mohabbat ko mujh pe naaz nahīñ
kal un ke jalvoñ pe thā merā iḳhtiyār-e-nazar
aur aaj apnī nazar kā bhī meñ majāz nahīñ
nigāh-e-nāz ke allāh re ye ġhalat andāz
koī ye samjhe abhī un ko mashq-e-nāz nahīñ
sunā.ī detī hai mahsūs jān-o-dil ho kar
vo ik sadā jo hanūz āshnā-e-sāz nahīñ
tumhārī bazm kī ye dost-dāriyāñ tauba
kisī se jaise kisī ko kuchh ehtirāz nahīñ
khulā huā hai vo bāb-e-qubūl-e-mai-ḳhāna
agar nahīñ dar-e-tauba balā se baaz nahīñ
tirī adā-e-taġhāful kī jaan se zālim
vo ik adā tirī jis par tujhe bhī naaz nahīñ
ab apne jalvoñ kā lillāh ehtirām muaaf
nigāh-e-shauq ko ab tāb-e-imtiyāz nahīñ
dobāra kis se milī ishq kī nigāh-e-garm
zamāna-soz hai 'bismil' zamāna-sāz nahīñ