bas ho chukā huzūr ye parde haTā.iye
sab muntazir haiñ sāmne tashrīf lā.iye
āvāz meñ to aap kī be-shak ḳhulūs hai
lekin zarā naqāb to ruḳh se haTā.iye
ham mānte haiñ aap baḌe ġham-gusār haiñ
lekin ye āstīn meñ kyā hai dikhā.iye
ab qāfile ke log bhī manzil-shanās haiñ
āḳhir kahāñ kā qasd hai khul kar batā.iye
bāda-kashoñ kī asl jagah mai-kade meñ hai
kis ne kahā ki aap bhī mimbar pe aa.iye