Iqbal Azeem

bil-ehtimam zulm ki tajdid ki gai

Iqbal Azeem

Meerut, Uttar pradesh, India

1913-2000
bil-ehtimām zulm kī tajdīd kī ga.ī
aur ham ko sabr-o-zabt kī tākīd kī ga.ī
avval to bolne kī ijāzat na thī hameñ
aur ham ne kuchh kahā bhī to tardīd kī ga.ī
anjām-kār baat shikāyāt par rukī
pursish agarche az-rah-e-tamhīd kī ga.ī
tajdīd-e-iltifāt kī tajvīz rad huī
tark-e-ta.alluqāt kī tā.īd kī ga.ī
jiine kā koī ek sahārā to chāhiye
Dar Dar ke kī ga.ī magar ummīd kī ga.ī
ghar ke charāġh aur bhī be-nūr ho ga.e
is darja ḳhātir-e-mah-o-ḳhurshīd kī ga.ī
Top Urdushayar.com