Iqbal Azeem

tum ghairon se hans hans ke mulaqat karo ho

Iqbal Azeem

Meerut, Uttar pradesh, India

1913-2000
tum ġhairoñ se hañs hañs ke mulāqāt karo ho
aur ham se vahī zahr-bharī baat karo ho
bach bach ke guzar jaao ho tum paas se mere
tum to ba-ḳhudā ġhairoñ ko bhī maat karo ho
nashtar sā utar jaave hai siine meñ hamāre
jab māthe pe bal Daal ke tum baat karo ho
taqve bhī bahak jāveñ haiñ mahfil meñ tumhārī
tum apnī in āñkhoñ se karāmāt karo ho
phūloñ kī mahak aave hai sāñsoñ meñ tumhārī
motī se bikhar jāveñ haiñ jab baat karo ho
ham ġhairoñ ke aage tumheñ kyā haal batā.eñ
paas aa ke suno duur se kyā baat karo ho
kyā kah ke pukāreñge tumheñ log ye socho
'iqbāl' pe tum zulm to din raat karo ho
Top Urdushayar.com