apnā ghar chhoḌ ke ham log vahāñ tak pahuñche
sub.h-e-fardā kī kiran bhī na jahāñ tak pahuñche
maiñ ne āñkhoñ meñ chhupā rakkhe haiñ kuchh aur charāġh
raushnī sub.h kī shāyad na yahāñ tak pahuñche
be-kahe baat samajh lo to munāsib hogā
is se pahle ki yahī baat zabāñ tak pahuñche
tum ne ham jaise musāfir bhī na dekhe hoñge
jo bahāroñ se chale aur ḳhizāñ tak pahuñche
aaj pindār-e-tamannā kā fusūñ TuuT gayā
chand kam-zarf gile nok-e-zabāñ tak pahuñche