zahr ke ghūñT bhī hañs hañs ke piye jaate haiñ
ham bahar-hāl salīqe se jiye jaate haiñ
ek din ham bhī bahut yaad kiye jā.eñge
chand afsāne zamāne ko diye jaate haiñ
ham ko duniyā se mohabbat bhī bahut hai lekin
laakh ilzām bhī duniyā ko diye jaate haiñ
bazm-e-aġhyār sahī az-rah-e-tanqīd sahī
shukr hai ham bhī kahīñ yaad kiye jaate haiñ
ham kiye jaate haiñ taqlīd-e-rivāyāt-e-junūñ
aur ḳhud chāk-e-girebāñ bhī siye jaate haiñ
ġham ne baḳhshī hai ye mohtāt-mizājī ham ko
zaḳhm bhī khāte haiñ aañsū bhī piye jaate haiñ
haal kā Thiik hai 'iqbāl' na fardā kā yaqīñ
jaane kyā baat hai ham phir bhī jiye jaate haiñ