Iqbal Azeem

sab samajhte hain ki hum kis karwan ke log hain

Iqbal Azeem

Meerut, Uttar pradesh, India

1913-2000
sab samajhte haiñ ki ham kis kārvāñ ke log haiñ
phir bhī pūchhā jā rahā hai ham kahāñ ke log haiñ
millat-e-baizā ne ye sīkhā hai sad-hā saal meñ
ye yahāñ ke log haiñ aur vo vahāñ ke log haiñ
ḳhālī paimāne liye baiThe haiñ rindān-e-kirām
mai-kada un kā hai jo pīr-e-muġhāñ ke log haiñ
in se mat pūchho ki manzil tum se kyuuñ chhīnī ga.ī
in ko mat chheḌo ye mīr-e-kārvāñ ke log haiñ
gul-faroshī se unheñ ham rokne vaale haiñ kaun
ham chaman ke log haiñ vo bāġhbāñ ke log haiñ
apne dushman se hameñ 'iqbāl' koī Dar nahīñ
un se be-shak ḳhauf hai jo darmiyāñ ke log haiñ
Top Urdushayar.com