Iqbal Azeem

kuchh aise zaKHm bhi dar-parda humne khae hain

Iqbal Azeem

Meerut, Uttar pradesh, India

1913-2000
kuchh aise zaḳhm bhī dar-parda ham ne khaa.e haiñ
jo ham ne apne rafīqoñ se bhī chhupā.e haiñ
ye kyā batā.eñ ki ham kyā gañvā ke aa.e haiñ
bas ik zamīr ba-mushkil bachā ke laa.e haiñ
ab aa ga.e haiñ to pyāse na jā.eñge saaqī
kuchh aaj soch ke ham mai-kade meñ aa.e haiñ
koī havāoñ se kah do idhar kā ruḳh na kare
charāġh ham ne samajh-būjh kar jalā.e haiñ
jahāñ kahīñ bhī sadā dī yahī javāb milā
ye kaun log haiñ pūchho kahāñ se aa.e haiñ
chaman meñ dekhiye ab ke havā kidhar kī chale
ḳhizāñ-nasīboñ ne phir āshiyāñ banā.e haiñ
safar pe nikle haiñ ham puure ehtimām ke saath
ham apne ghar se kafan saath le ke aa.e haiñ
unheñ parā.e charāġhoñ se kyā ġharaz 'iqbāl'
jo apne ghar ke diye ḳhud bujhā ke aa.e haiñ
Top Urdushayar.com