badal ke rakh deñge ye tasavvur ki aadmī kā vaqār kyā hai
ḳhalā meñ vo chāñd nāchtā hai zamāñ makāñ kā hisār kyā hai
bahak ga.e the sambhal ga.e haiñ sitam kī had se nikal ga.e haiñ
ham ahl-e-dil ye samajh ga.e haiñ kashākash-e-rozgār kyā hai
abhī na pūchho ki lāla-zāroñ se uTh rahā hai dhuāñ vo kaisā
magar ye dekho ki phuul banñe kā ārzū-mand ḳhaar kyā hai
vahī bane dushman-e-tamannā jinheñ sikhāyā thā ham ne jiinā
agar ye pūchheñ to kis se pūchheñ ki dostī kā shi.ār kyā hai
kabhī hai shabnam kabhī sharārā falak se TuuTā to ek taarā
ġham-e-mohabbat ke rāzdāro ye gauhar-e-ābdār kyā hai
bahār kī tum na.ī kalī ho abhī abhī jhuum kar khilī ho
magar kabhī ham se yūñhī pūchho ki hasratoñ kā mazār kyā hai
ba-īñ tabāhī dikhā.e ham ne vo mo.ajize āshiqī ke tum ko
ba-īñ adāvat kabhī na kahnā ki aap sā ḳhāksār kyā hai
bane koī ilm o fan kā mālik ki maiñ huuñ rāh-e-vafā kā sālik
nahīñ hai shohrat kī fikr 'bāqar' ġhazal kā ik rāzdār kyā hai