Bismil Saeedi

saqi ke nam-lewa maiKHane rah gae hain

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
saaqī ke nām-levā maiḳhāne rah ga.e haiñ
mai-ḳhānoñ meñ bhī ḳhālī paimāne rah ga.e haiñ
be-maqsad-e-junūñ haiñ majnūñ jo dasht meñ haiñ
lailā nahīñ rahī hai dīvāne rah ga.e haiñ
ban kar jo ik haqīqat duniyā pe chhā ga.e the
duniyā meñ aaj un ke afsāne rah ga.e haiñ
mahfil rahe tumhārī mahfil meñ tum raho ab
vo kyā raheñ jo ho kar begāne rah ga.e haiñ
pahchānñā ab un ko dushvār ho gayā hai
jo log apne jāne-pahchāne rah ga.e haiñ
qabroñ meñ sone vaalo tum ko pukārte haiñ
ishrat-kade jo ban kar ġham-ḳhāne rah ga.e haiñ
dekh ai nigāh-e-ibrat āsār-e-ahd-e-māzī
ābādiyoñ ke ho kar vīrāne rah ga.e haiñ
ai gosh-e-ibrat un ko tū sun sake to sun le
ye kuchh haqīqatoñ ke afsāne rah ga.e haiñ
ai sham-e-sub.h-e-mahfil un ko jalā ke bujhnā
do-chār aur tere parvāne rah ga.e haiñ
dīvānoñ ko jo 'bismil' badnām kar rahe haiñ
dīvānoñ meñ abhī kuchh farzāne rah ga.e haiñ
Top Urdushayar.com