Iqbal Azeem

ye nigah-e-sharm jhuki jhuki ye jabin-e-naz dhuan dhuan

Iqbal Azeem

Meerut, Uttar pradesh, India

1913-2000
ye nigāh-e-sharm jhukī jhukī ye jabīn-e-nāz dhuāñ dhuāñ
mire bas kī ab nahīñ dāstāñ mirā kāñptā hai ruvāñ ruvāñ
ye taḳhaiyyulāt kī zindagī ye tasavvurāt kī bandagī
faqat ik fareb-e-ḳhayāl par mirī zindagī hai ravāñ davāñ
mire dil pe naqsh haiñ aaj tak vo ba-ehtiyāt navāzisheñ
vo ġhurūr o- zabt ayaañ ayaañ vo ḳhulūs o rabt nihāñ nihāñ
na safar ba-shart-e-ma.āl hai na talab ba-qaid-e-savāl hai
faqat ek serī-e-zauq ko maiñ bhaTak rahā huuñ kahāñ kahāñ
ho tilism-e-ālam-e-rañg-o-bū ki harīm-e-anjum-o-kahkashāñ
mirā saath degī nazar mirī vo chhupeñge jā ke jahāñ jahāñ
mirī ḳhalvatoñ kī ye jannateñ ka.ī baar saj ke ujaḌ ga.iiñ
mujhe bārhā ye huā gumāñ ki tum aa rahe ho kashāñ kashāñ
Top Urdushayar.com