Iqbal Azeem

zahr de de na koi ghol ke paimane mein

Iqbal Azeem

Meerut, Uttar pradesh, India

1913-2000
zahr de de na koī ghol ke paimāne meñ
ab to jī Dartā hai ḳhud apne hī maiḳhāne meñ
saarā maazī mirī āñkhoñ meñ simaT aayā hai
maiñ ne kuchh shahr basā rakkhā haiñ vīrāne meñ
be-sabab kaise badal saktā hai rindoñ kā mizāj
kuchh ġhalat log chale aa.e haiñ maiḳhāne meñ
jām-e-jam se nigah-e-tauba-shikan tak saaqī
puurī rūdād hai TuuTe hue paimāne meñ
pyaas kāñToñ ko bujhātā hai lahū se apne
kitnī bāliġh-nazarī hai mirī dīvāne meñ
mujh pe tanqīd bhī hotī hai to alqāb ke saath
kam se kam itnā salīqa to hai begāne meñ
is ko kyā kahte haiñ 'iqbāl' kisī se pūchho
dil na ab shahr meñ lagtā hai na vīrāne meñ
Top Urdushayar.com