Iqbal Azeem

apne mazi se jo wirse mein mile hain hum ko

Iqbal Azeem

Meerut, Uttar pradesh, India

1913-2000
apne maazī se jo virse meñ mile haiñ ham ko
un usūloñ kī tijārat nahīñ hogī ham se
ahd-e-hāzir kī har ik baat hameñ dil se qubūl
sirf tauhīn-e-rivāyat nahīñ hogī ham se
jhuuT bhī boleñ sadāqat ke payambar bhī baneñ
ham ko baḳhsho ye siyāsat nahīñ hogī ham se
zaḳhm bhī khā.eñ raqīboñ ko duā.eñ bhī deñ
itnī maḳhdūsh sharāfat nahīñ hogī ham se
surḳh patthar ke sanam hoñ ki vo patthar ke sanam
but-kadoñ meñ to ibādat nahīñ hogī ham se
hai itā.at ke liye apnā faqat ek ḳhudā
na ḳhudāoñ kī itā.at nahīñ hogī ham se
ġhair-mashrūt rifāqat ke taraf-dār haiñ ham
shart ke saath rifāqat nahīñ hogī ham se
fikr-o-iz.hār meñ ham hukm ke pāband nahīñ
shā.irī hasb-e-hidāyāt nahīñ hogī ham se
sirf bāteñ hī agar aap gavāra kar leñ
aap ko koī shikāyat nahīñ hogī ham se
Top Urdushayar.com