Iqbal Azeem

apne markaz se agar dur nikal jaoge

Iqbal Azeem

Meerut, Uttar pradesh, India

1913-2000
apne markaz se agar duur nikal jāoge
ḳhvāb ho jāoge afsānoñ meñ Dhal jāoge
ab to chehroñ ke ḳhad-o-ḳhāl bhī pahle se nahīñ
kis ko ma.alūm thā tum itne badal jāoge
apne parcham kā kahīñ rañg bhulā mat denā
surḳh sho.aloñ se jo kheloge to jal jāoge
de rahe haiñ tumheñ to log rifāqat kā fareb
un kī tārīḳh paḌhoge to dahal jāoge
apnī miTTī hī pe chalne kā salīqa sīkho
sañg-e-marmar pe chaloge to phisal jāoge
ḳhvāb-gāhoñ se nikalte hue Darte kyuuñ ho
dhuup itnī to nahīñ hai ki pighal jāoge
tez qadmoñ se chalo aur tasādum se bacho
bhiiḌ meñ sust chaloge to kuchal jāoge
ham-safar DhūñDo na rahbar kā sahārā chāho
Thokareñ khāoge to ḳhud hī sambhal jāoge
tum ho ik zinda-e-jāved rivāyat ke charāġh
tum koī shaam kā sūraj ho ki Dhal jāoge
sub.h-e-sādiq mujhe matlūb hai kis se māñgūñ
tum to bhole ho charāġhoñ se bahal jāoge
Top Urdushayar.com