Iqbal Azeem

wo yun mila ki ba-zahir KHafa KHafa sa laga

Iqbal Azeem

Meerut, Uttar pradesh, India

1913-2000
vo yuuñ milā ki ba-zāhir ḳhafā ḳhafā sā lagā
na jaane kyuuñ vo mujhe phir bhī bā-vafā sā lagā
mizāj us ne na pūchhā magar salām liyā
ye be-ruḳhī kā salīqa bhī kuchh bhalā sā lagā
ġhubār-e-vaqt ne kuchh yuuñ badal diye chehre
ḳhud apnā shahr bhī mujh ko nayā nayā sā lagā
ghuTī ghuTī sī lagī raat anjuman kī fazā
charāġh jo bhī jalā kuchh bujhā bujhā sā lagā
jo ham pe guzrī hai shāyad sabhī pe guzrī ho
fasāna jo bhī sunā kuchh sunā sunā sā lagā
majāl-e-arz-e-tamannā kare koī kaise
jo lafz hoñToñ pe aayā Darā Darā sā lagā
maiñ ghar se chal ke akelā yahāñ tak aayā huuñ
jo ham-safar bhī milā kuchh thakā thakā sā lagā
isī kā naam hai shā.istagī o pās-e-vafā
palak tak aa ke jo aañsū thamā thamā sā lagā
kuchh is ḳhulūs se us ne kahā mujhe 'iqbāl'
ḳhud apnā naam bhī mujh ko baḌā baḌā sā lagā
Top Urdushayar.com