āñkhoñ se nuur dil se ḳhushī chhīn lī ga.ī
ham se hamārī zinda-dilī chhīn lī ga.ī
ik roz ittifāq se ham muskurā.e the
is kī sazā meñ ham se hañsī chhīn lī ga.ī
kitne charāġh nuur se mahrūm ho ga.e
jab se hamārī ḳhush-nazarī chhīn lī ga.ī
shikva mirā mizāj na mātam mirī sarisht
har-chand mujh se ḳhanda-labī chhīn lī ga.ī
'iqbāl' is ḳhushī kā bharosa bhī kuchh na thā
achchhā huā ye dard-sarī chhīn lī ga.ī