zabt bhī chāhiye zarf bhī chāhiye aur mohtāt pās-e-vafā chāhiye
zindagī dushmanoñ meñ bhī mushkil nahīñ aadmī meñ zarā hausla chāhiye
ham ko manzil-shanāsī pe bhī naaz hai aur ham āshnā-e-havādis bhī haiñ
jū-e-ḳhūñ se guzarnā paḌe bhī to kyā justujū ko to ik rāstā chāhiye
apne māthe pe bal Daal kar hameñ shīsh-mahloñ ke andar se jhiḌkī na do
ham bhikārī nahīñ haiñ ki Tal jā.eñge ham ko apnī vafā kā sila chāhiye
tum ne ārā.ish-e-gulistāñ ke liye ham se kuchh ḳhuun māñgā thā muddat huī
tum se ḳhairāt to ham nahīñ māñgte ham ko is ḳhuun kā ḳhūñ-bahā chāhiye
ham ko har moḌ par dost milte rahe ham kabhī rāh-e-manzil meñ tanhā na the
kal ġham-e-dost thā ab ġham-e-zīst hai āshnā ko to ik āshnā chāhiye
merī maano to ik baat tum se kahūñ ye nayā daur hai is kā kyā Thiik hai
dostoñ se milo mahfiloñ meñ magar āstīnoñ kā bhī jā.eza chāhiye
had se baḌh kar mohabbat munāsib nahīñ is meñ andesha-e-bad-gumānī bhī hai
dushmanoñ se ta.alluq to hai hī ġhalat dostoñ meñ bhī kuchh fāsla chāhiye
jurm-e-be-bāk-goī kī pādāsh meñ zahr 'iqbāl' ko talḳhiyoñ kā milā
us ne is zahr ko hī suḳhan kar liyā is zamāne meñ ab aur kyā chāhiye