ab ise kyā kare koī āñkhoñ meñ raushnī nahīñ
shahr bhī ajnabī nahīñ log bhī ajnabī nahīñ
ham ne ye soch kar kabhī jur.at-e-arz kī nahīñ
shikva ba-sad-ḳhulūs bhī sheva-e-dostī nahīñ
yuuñ to baḌe ḳhulūs se log hue haiñ ham-safar
raah meñ saath chhoḌ deñ un se ba.iid bhī nahīñ
pursish-e-hāl ke sivā koī kare bhī kyā magar
pursish-e-hāl dosto tanz hai dostī nahīñ
biite hue ḳhushī ke din bhūlī huī kahāniyāñ
aap ko yaad hoñ to hoñ ham ko to yaad bhī nahīñ