Bismil Saeedi

main bhi mushkil se uTha rashk bhi mushkil se uTha

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
maiñ bhī mushkil se uThā rashk bhī mushkil se uThā
dil vahīñ baiTh gayā jab tirī mahfil se uThā
terī mahfil ke alāva koī aalam hī nahīñ
vo kahīñ kā na rahā jo tirī mahfil se uThā
mushkileñ merī mohabbat kī ilāhī tauba
un ke kūche se janāza bhī to mushkil se uThā
aap meñ aane kī phir koī jihat hī na rahī
maiñ tirī bazm se jab tere muqābil se uThā
ain dariyā kā talātum to rahā sāhil tak
ho gayā qahr vo tūfān jo sāhil se uThā
Dagmagānā thā idhar pā-e-talab kā bismil
shor-e-labbaik idhar jānib-e-manzil se uThā
Top Urdushayar.com