Bismil Saeedi

zaban kya hai mohabbat ki guftugu kya hai

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
zabān kyā hai mohabbat kī guftugū kyā hai
ba-juz nigāh ke paiġhām-e-ārzū kyā hai
ye jān-e-husn-e-mohabbat hai aarzū kyā hai
na ho ye dil meñ to maiñ kyā huuñ aur tū kyā hai
lahū jo garm na kar de vo aarzū kyā hai
jo aarzū se na garmā.e vo lahū kyā hai
ḳhudā kare na kare husn se tajāvuz-e-ishq
abhī to mujh se vahī kah rahe haiñ tū kyā hai
tujhe bhī bhuul ga.e tere DhūñDne vaale
ye hosh bhī to nahīñ hai ki justujū kyā hai
bajā ki ḳhuun kī garmī kā naam hai insāñ
na ho jo garm-e-mohabbat se vo lahū kyā hai
ġhalat samajh ke nahīñ dekhtā huuñ terī taraf
ye dekhtā huuñ ki andāz-e-guftugū kyā hai
jinheñ hai tujh se mohabbat vo jānte bhī nahīñ
ki rashk kahte haiñ kis chiiz ko adū kyā hai
rahe ilāhī mire dil kī aabrū qaa.em
sadaf meñ hai ye guhar dil meñ aarzū kyā hai
hai un kī jumbish-e-abrū pe aabrū kā madār
jo jānte bhī nahīñ haiñ ki aabrū kyā hai
sivā.e zauq-e-nazar aur kuchh nahīñ 'bismil'
ye phuul kyā haiñ ye phūloñ meñ rañg-o-bū kyā hai
Top Urdushayar.com