tiir barse kabhī ḳhanjar aa.e
ye maqāmāt bhī akasr aa.e
shahr meñ aag lagī hai apne
jo bhī aa.e vo sambhal kar aa.e
phir tabāhī kī taraf hai duniyā
phir zarūrat hai payambar aa.e
vo to rahzan ke bhī rahzan nikle
ham to samjhe the ki rahbar aa.e
shahr meñ jab koī hañgāma huā
log kuchh bhes badal kar aa.e
aap chup rahe ke bhale ban baiThe
saare ilzām hamīñ par aa.e