Shahab Jaipuri

aage jo hoga wo hoga KHair kar aaya hun main

Shahab Jaipuri

Jaipur, Rajasthan, India

1987
aage jo hogā vo hogā ḳhair kar aayā huuñ maiñ
jo zabar bante the un ko zer kar aayā huuñ maiñ
haañ bahut mushkil to hai lekin ye nā-mumkin nahīñ
dard kī tuġhyāniyoñ meñ tair kar aayā huuñ maiñ
mar gayā hai koī mujh meñ us pe miTTī Dāliye
apnī saarī ḳhvāhishoñ ko Dher kar aayā huuñ maiñ
dard vahshat ranj-o-ġham tanhā.iyāñ shām-e-alam
jo mujhe ghere thiiñ un ko gher kar aayā huuñ maiñ
vo jise paane kī hasrat dil meñ muddat se rahī
us ke hī ḳhātir use ab ġhair kar aayā huuñ maiñ
kaam ye āsāñ nahīñ is meñ kaleja chāhiye
ishq kī vaadī se haañ ruḳh pher kar aayā huuñ maiñ
jaane kis kī diid kī hasrat liye dil meñ 'shahāb'
dasht-o-sahrā se bhī aage sair kar aayā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com