Bismil Saeedi

ishq hun to sham-e-husn-e-yar ka parwana hun

Bismil Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1902-1977
ishq huuñ to sham-e-husn-e-yār kā parvāna huuñ
husn huuñ to maiñ charāġh-e-ka.aba-o-but-ḳhāna huuñ
merī hastī kār-farmā hai jahāñ tak dekhiye
riñd huuñ maiñ jaam huuñ maiñ sāqi-e-mai-ḳhāna huuñ
koī dīvāna mujhe kahtā hai saudā.ī koī
vāqi.a ye hai ki mahv-e-jalva-e-jānāna huuñ
maiñ huuñ un kī ibtidā aur vo haiñ merī intihā
ḳhatm ho jo husn par vo ishq kā afsāna huuñ
haañ jalā de ḳhaak kar de phūñk de hastī mirī
tū to sham-e-husn hai maiñ to tirā parvāna huuñ
tum ho aalam tum se hai aalam magar bā-īñ-hama
tum ho ālam-āshnā maiñ tum se bhī begāna huuñ
maiñ hudūd-e-shar.a se bāhar nahīñ 'bismil' magar
kahne do jo kuchh kahūñ dīvāna huuñ dīvāna huuñ
Top Urdushayar.com