tujh teġh kī nigah se mirā kaT gayā hai dil
bhītar siine ke TukḌe ho kar phaT gayā hai dil
jab se jamāl terā maiñ dekhā hai ai sanam
tab se sabhī taraf se mirā haT gayā hai dil
andāz-e-nāz qahr hai us ke na maiñ kahūñ
par ḳhāl-o-ḳhat meñ jā ke tire baT gayā hai dil
aage ko baḌh sake hai na pīchhe ko haT sake
yaañ tak tire ḳhayāl meñ ab DaT gayā hai dil
zarrā se dekhte hī ye badlī nazar tirī
man meñ chhaTañkī ser pīchhe ghaT gayā hai dil
hotā hai shab ko jā ke ham-āġhosh ġhair se
ye baat sun ke yaar nipaT chhaT gayā hai dil
jaisā hai sabz ḳhat tirā aur shoḳh chashm
in donoñ biich aa ke mirā luT gayā hai dil