nayan sukh

jahan mein jo kai gul-badan KHush-nayan hai

nayan sukh

jahāñ meñ jo ka.ī gul-badan ḳhush-nayan hai
bahut jī ko pyārā hai aur man-haran hai
ye sab ḳhūbiyāñ tujh meñ haiñgī parī-rū
tū hī man-haran hai tū hī chit lagan hai
dīvāna huuñ us dam ki jis dam kaheñ haiñ
shakar-lab bhī kyā ḳhuub shīrīñ bachan hai
zarā pyaar se jis se tū hañs ke bole
to be-shak use bādshāhī ḳhutan hai
tajallā tirā jin ne Tuk dekh paayā
valī hai vo phir aur falātūñ-zaman hai
tire aavne kī ḳhabar sun ke pyāre
khaḌā muntazir saarā nargis-chaman hai
bhalā tujh ko duniyā meñ koī kyuuñ ki paave
na ghar kahīñ terā kahīñ na vatan hai
hai sab meñ milā aur sab se nirālā
ajab terī qudarat ajab terā fan hai
tū ab ḳhvāh nazdīk yā duur hī rah
tirī yaad jī meñ mire rāt-din hai
ġhanīmat hai mujh ko buzurgī ye itnī
maiñ tālib huuñ terā aur tū jān-e-man hai
karam kī nazar se zarā dekh īdhar
tirā 'nain' aajiz hai rañgīñ-suḳhan hai
Top Urdushayar.com