nayan sukh

fasl-e-gul mein har ghaDi ye abr-o-baran phir kahan

nayan sukh

fasl-e-gul meñ har ghaḌī ye abr-o-bārāñ phir kahāñ
dekh lo ḳhush ho ke yārāñ ye bahārāñ phir kahāñ
hai sa.ādat qumriyo us ke tasadduq ho chalo
varna koī din ko ye sarv-e-ḳhirāmāñ phir kahāñ
aaj aatī hai nazar mujh dil ke shīshe meñ parī
dekh lo lahza meñ ye sūrat numāyāñ phir kahāñ
maiñ chaman meñ pī ke mai ko is liye kartā huuñ sair
kaun jaane sāqiyā ye gul-azārāñ phir kahāñ
qaul hai hazrat 'yaqīñ' kā tab to yuuñ kahtā hai 'nain'
bhar ke dil ro lījiye ye chashm-e-giryāñ phir kahāñ
Top Urdushayar.com