dildār huā nā-ḳhush ab dil kā ḳhudā-hāfiz
nazroñ meñ lagā laḌne bismil kā ḳhudā-hāfiz
ḳhanjar se mizha ke ye sab siina kiyā zaḳhmī
kuchh bas hī nahīñ chaltā ghāyal kā ḳhudā-hāfiz
kis tarah koī jiite nādāñ se paḌā paalā
be-tarah kī ḳhvārī hai aaqil kā ḳhudā-hāfiz
ġhairoñ se chabātā hai yāroñ se bachātā hai
chhūte hī machaltā hai chanchal kā ḳhudā-hāfiz
apnī hī vo kahtā hai par aur kī nahīñ suntā
har ik se ulajhtā hai jāhil kā ḳhudā-hāfiz
shah-e-gul kī ḳhabar aa.ī aatā hai liye lashkar
gulshan meñ paḌī khal-bal bulbul kā ḳhudā-hāfiz
maiñ tujh ko na kahtā thā mat 'nain' butoñ se mil
dil de ke huā rusvā be-dil kā ḳhudā-hāfiz