yaar kā vasl-e-shabā-shab na huā thā so huā
sāġhar ishq-e-labā-lab na huā thā so huā
le chukā dil ko vo mujh haath se tab maiñ ne kahā
is qadar terā matālib na huā thā so huā
jaur aur zulm se duniyā meñ ye ḳhūbāñ kā ism
bevafā.ī kā mulaqqab na huā thā so huā
karnā tasḳhīr har ik dil ko do ik bātoñ meñ
is tarah kā bhī ajā.ib na huā thā so huā
roz lagtā hai tire kaan se jā jā ke raqīb
kasū kā itnā marātib na huā thā so huā
ġhairoñ kī bar meñ tire ab to ye kuchh kasrat hai
ya.anī har koī musāhib na huā thā so huā
mehr ustād kī se dekho to is 'nain' ke ta.iiñ
sher kahne kā kabhī Dhab na huā thā so huā