nayan sukh

zara kijiye ghaur hazrat-salamat

nayan sukh

zarā kījiye ġhaur hazrat-salāmat
ye kyā sīkhā hai taur hazrat-salāmat
munāsib nahīñ ham ġharīboñ ke uupar
karo is qadar jaur hazrat-salāmat
tumheñ chhoḌ kar ab kaheñ dard kis se
hai koī dūsrā aur hazrat-salāmat
nahīñ jānte tum sivā ham kisī ko
hamāre ho sarmaur hazrat-salāmat
har ik daane meñ dil paḌe dekhtā huuñ
zahe pahuñche billor hazrat-salāmat
isī āstāne baġhair ham ko jag meñ
nahīñ hai kahīñ Thaur hazrat-salāmat
lagā.ī hai sandal kī tum ne jabīñ par
qayāmat hai ye ghor hazrat-salāmat
nahīñ bolte ham se so kyā sabab hai
ye kah diije fil-faur hazrat-salāmat
najīboñ se kyuuñ kar ḳhushī ho tumhārī
kamīnoñ kā hai daur hazrat-salāmat
bas ab kījiye muaaf dekheñ tamāshā
nikaltī hai gangor hazrat-salāmat
Top Urdushayar.com