nayan sukh

bahuton ne jise arsh pe be-jaan mein dekha

nayan sukh

bahutoñ ne jise arsh pe be-jān meñ dekhā
ham ne to use jīte-jī is jaan meñ dekhā
majnūñ thā ham-āġhosh liye lailā ko apnī
yaaro ye tamāshā maiñ bayābān meñ dekhā
jaave bhī phir aave bhī ka.ī shakl se har baar
chakkar meñ kahāñ par ye mazā taan meñ dekhā
faaqa hī rahe roz na kuchh khānā na piinā
ye daur maiñ ne hazrat-e-ramazān meñ dekhā
sab raat laḌeñ ToñTe chhachhūñdar kī laḌā.ī
bhauñchappā maiñ ne chhūTte shābān meñ dekhā
go meve hazāroñ haiñ aur haiñ ne.amateñ lākhoñ
par sab se saris ham ne mazā naan meñ dekhā
har sher taḌāqe kā har ik baat tamāshā
aisā to maiñ ne saudā ke dīvān meñ dekhā
har nafs ko hairān kare sovte jagte
is fan ko maiñ ne hazrat-e-shaitān meñ dekhā
kuchh baat kahe hañs ke to jhaḌte haiñ nire phuul
lahza ye tire is lab-e-ḳhandān meñ dekhā
hañste hī kare der na laḌte hī kare der
ye taur tirā tiflak-e-nādān meñ dekhā
go sarv tire qad kā sā mauzūñ to nahīñ hai
par kahne ko lāchār maiñ bustān meñ dekhā
jo chāh-e-zanaḳh biich girā phiir na niklā
aisā to ka.ī baar maiñ har aan meñ dekhā
kūche kā gayā tere koī phirtā nahīñ hai
maiñ ḳhuub hī kar ġhaur garebān meñ dekhā
tujh chashm kī tashbīh ko nargis kā zikar kyā
sau baar use maiñ ne gulistān meñ dekhā
Top Urdushayar.com