nayan sukh

dije nahin kasu ko to phir lijiye bhi nahin

nayan sukh

diije nahīñ kasū ko to phir lījiye bhī nahiñ
nekī na ban sake to badī kījiye bhī nahiñ
tauqīr-e-husn shart hai dil dene ke liye
gar husn hī na ho to kabhū rījhiye bhī nahiñ
hove agarche apnī sharāfat upar nigāh
hargiz badī ke kaam pe dil dījiye bhī nahiñ
īdhar se siite jaao aur ūdhar se phahTtā jaa.e
aise tarah ke kapḌe ko phir sījiye bhī nahiñ
denā dilānā saarā hai ik naam ke liye
gar naam bhī na ho to abas chhījiye bhī nahiñ
koī sā mo.āmla ho pahle chhān lījiye
yak-bārgī bhaḌak ke kabhū kījiye bhī nahiñ
mai kā mazā jabhī hai ki jab māh-rū ho paas
gar māh-rū na hove to mai pīji.e bhī nahiñ
Top Urdushayar.com