havas kī duniyā meñ rahne vāloñ ko maiñ mohabbat sikhā rahā huuñ
jahāñ pe dāman bichhe hue haiñ vahāñ par āñkheñ bichhā rahā huuñ
surūd-e-ġham par bhī zindagī meñ tarab ke dhāre bahā rahā huuñ
maiñ un ke sāz-e-jafā par apnī vafā ke naġhme sunā rahā huuñ
ilāhī duniyā meñ aur kuchh din abhī qayāmat na aane paa.e
tire banā.e hue bashar ko abhī maiñ insāñ banā rahā huuñ
adam ke tārīk rāste meñ koī musāfir na raah bhūle
maiñ sham-e-hastī bujhā kar apnī charāġh-e-turbat jalā rahā huuñ
maiñ apnī tarz-e-jūn.un ke sadqe mirā junūñ bhī ajab junūñ hai
kisī kā dāman pakaḌ rahā huuñ kisī se dāman chhuḌā rahā huuñ
abhī to aayā hī thā vahāñ se kabhī na jaane kā ahd kar ke
magar mohabbat zahe mohabbat abhī vahīñ se phir aa rahā huuñ
milī hai kāñToñ kī mujh ko qismat magar hai phūloñ kī merī fitrat
jahāñ huuñ pāmāl-e-ġham huuñ lekin jahāñ bhī huuñ muskurā rahā huuñ
chalā hai shauq-e-sujūd le kar ilāhī ye kis ke dar kī jānib
abhī to pahlā qadam uThā hai abhī se maiñ sar jhukā rahā huuñ
tirī nazar kyā maiñ apne dil se bhī gir ke jaatā huuñ anjuman se
jahāñ ki hotī hai ḳhatm duurī vahāñ se bhī duur jā rahā huuñ
ye kis ke kūche meñ gāmzan huuñ ye āstāñ kis kā sāmne hai
maiñ apne qadmoñ par aaj 'bismil' sar-e-do-ālam jhukā rahā huuñ