nayan sukh

naseh na bak zyaada mera man ye suKHan

nayan sukh

nāseh na bak zyāda mirā maan ye suḳhan
mujh setī chhoTe ishq hai imkān ye suḳhan
tasbīh namāz roza se mujh ko nahīñ hai kaam
maiñ but-parast huuñ mirā pahchān ye suḳhan
har roz mujh ko ishq se kyuuñ roktā hai tū
āḳhir ko kho rahā hai tirī jaan ye suḳhan
dildār dilrubā haiñ mire dal ke mushtarī
maiñ in kā huuñ mirī jaan ye suḳhan
itne meñ merā yaar mire paas aa gayā
kahne lagā ki kyā hai mehrbān ye suḳhan
us be-hayā se kaahe ko ḳhālī karo ho maġhz
ye bevaqūf hai jo kahe aan ye suḳhan
tālib ko ma.arifat ke sabhī chiiz haiñ muaaf
akasr ke kah ga.e haiñ qadr-dān ye suḳhan
al-qissa ho ḳhamosh kiyā maiñ ne ye yaqīñ
jab muñh se yaar ke paḌā mujh ko kaan ye suḳhan
behtar hai sab se dostī apnī ḳhudā kī 'nayan'
fe.al abas hai yaarī gaihān ye suḳhan
Top Urdushayar.com