nasīhat se merī ye sau kos bhāge
tilañgoñ kī haq meñ jaise bhūtiyā hai
maiñ baiThūñ zamīñ par ye baiThe samāñ par
kujā taḳht-e-shāhī kujā boriyā hai
kareñ jā-ba-jā log par kā kabūtar
har ik baat kā mach rahā tūtiyā hai
zamāne kā ye haal aur dil kā ye haal
kaho kis tarah rahtī sharam aur hayā hai
bhañvar biich ġham ke maiñ Dāloñ aur uchhlūñ
ye kahtā hai mujh se ki tū marjiyā hai
maiñ sau sau dafa terā phāḌā garebāñ
batā tū ne kis se vāste phir siyā hai
tū hai maut kā Dher mat bol mujh se
amar huuñ maiñ ne aab āb-e-haivāñ piyā hai
mere saanī na.ī hai koī ab jahāñ meñ
falak ke kañgūroñ ko maiñ ne chhiyā hai
ḳhudā huuñ sadā āshiqī par maiñ usī kī
vo jo qais sahrā meñ ek ho gayā hai
ḳhudā kī taraf jin ne dil ko lagāyā
huā faz us ke se vo ambiyā hai
mire jī meñ āvegī so hī karūñgā
maiñ muḳhtār huuñ merā karam ḳhurda hai
suneñ dal ke muñh se maiñ jab aisī bāteñ
ḳhudā shāhid hai maiñ ne ro ro diyā hai
phir āḳhir ho lāchār meñ haar baiThā
ye laḌne ke ta.iiñ miir ḳhaañ Thokiyā hai
kahūñ kyā kyā yaaro maiñ dil ke tamāshe
ye to svāñg laane ko bahrūpiyā hai
na bik aage ab 'nayan' ḳhāmosh ho rā
ye dil hai terā yaar lañgoTiyā hai