hasīñ rutoñ ne mire saath jis kā naam liyā
maiñ gir rahā thā ki aa kar usī ne thaam liyā
udāsī habs dhuāñ ishq bekalī sahrā
sabhī ne mujh se faqat apnā apnā kaam liyā
badal chuke the qavānīn-e-jañg so maiñ ne
diyā bujhā ke añdhere se intiqām liyā
vo ishq ban ke dhaḌakne lagā hai sīnoñ meñ
fanā ke haath se jis ne baqā kā jaam liyā
ik iztirāb meñ apne zamīr kā matlab
ḳhudā liyā hai kisī ne kisī ne raam liyā