ik dasht meñ ik kārvāñ ruktā rahā chaltā rahā
ḳhauf-o-ḳhatar ke darmiyāñ ruktā rahā chaltā rahā
phūloñ har us us jagah aa kar basā.īñ bastiyāñ
in rāstoñ par tū jahāñ ruktā rahā chaltā rahā
pahle the vīrāne jahāñ ab haiñ vahāñ ābādiyāñ
ya.anī hujūm-e-be-karāñ ruktā rahā chaltā rahā
chalte hue rukte hue dekhā to maiñ hairāñ huā
hamrāh mere āsmāñ ruktā rahā chaltā rahā
jaane kahāñ ke log the aur jā rahe the vo kahāñ
har shaḳhs pahne beḌiyāñ ruktā rahā chaltā rahā
mere guzishta ke nishāñ mujh ko na aa paa.e nazar
ai zindagī maiñ kab kahāñ ruktā rahā chaltā rahā
go qāfile kī har savārī 'qais' thak ke mar ga.ī
be-dam akelā sārbāñ ruktā rahā chaltā rahā