Sayyad Qais Raza

mujhko jo tum se hua wo pyar bhi ujlat mein tha

Sayyad Qais Raza

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1992
mujh ko jo tum se huā vo pyaar bhī ujlat meñ thā
pyaar kyā is pyaar kā iz.hār bhī ujlat meñ thā
ik payambar ko kiyā nīlām kuchh soche baġhair
kis qadar vo misr kā bāzār bhī ujlat meñ thā
dauḌte ūñToñ se girte rāhiyoñ ko chhoḌ kar
qāfila aur qāfila sālār bhī ujlat meñ thā
hai milī mujh ko sazā-e-zīst to bas is liye
munsifī ujlat meñ pairavkār bhī ujlat meñ thā
din abhī niklā nahīñ aur be-ḳhatar vo so gayā
us galī kā sust pahre-dār bhī ujlat meñ thā
thā vo ujlat meñ jise karnā thā din bhar kaam aur
ghar meñ bistar par paḌā be-kār bhī ujlat meñ thā
phuul ko chheḌā nahīñ aur 'qais' zaḳhmī ho gayā
munsalik us shāḳh se ik ḳhaar bhī ujlat meñ thā
Top Urdushayar.com