Sayyad Qais Raza

nikla hai zulm toD ke sare hisar bhag

Sayyad Qais Raza

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1992
niklā hai zulm toḌ ke saare hisār bhaag
suntā hai kaun ab na kisī ko pukār bhaag
maiñ gardishoñ se bhāgtā phirtā huuñ raat din
tū bhī zamīn chhoḌ ke apnā madār bhaag
go qāfila chalā gayā tū ġham-zada na ho
vo dekh uTh rahā hai abhī bhī ġhubār bhaag
lipTī hai tere jism se kyoñ dopahar kī shaal
kyoñ ho rahā hai din kī havas kā shikār bhaag
bhūlā dayār-e-ġhair meñ aayā hai to tujhe
uljhā na de ye gardish-e-lail-o-nahār bhaag
ik tū bachā hai shahr to saarā ujaḌ gayā
ab kar rahā hai kis kā bhalā intizār bhaag
ik pal meñ hī sameT le sadiyoñ kā fāsla
paañv se 'qais' vaqt kī beḌī utaar bhaag
Top Urdushayar.com