havā ko chiir ke us tak sadā agar pahuñche
muhāl hai ki madad ko na chārāgar pahuñche
dayār-e-ishq ko rāh-e-sināñ pe chalte hue
jahāñ pe jism na pahuñche vahāñ pe sar pahuñche
Thikānā duur thā aur sāmnā havā kā bhī
pahuñch na paa.e parinde so un ke par pahuñche
za.iif peḌ nishānī thā jo mohabbat kī
vo kaT chukā thā musāfir jo lauT kar pahuñche
ye ek aah mohabbat kī tarjumān nahīñ
bahut tavīl the qisse jo muḳhtasar pahuñche
duā-ba-dast pas-e-dar thī intizār meñ maañ
ham ek shab zarā tāḳhīr se jo ghar pahuñche
pahuñch to jaatī hai har baat baat kā kyā hai
maza to jab hai ki is baat kā asar pahuñche