ye reg-e-sahrā pe jo kahānī paḌī huī hai
isī kahānī meñ zindagānī paḌī huī hai
koī bayābāñ se mujh ko āvāz de rahā hai
tumhāre hisse kī rā.egānī paḌī huī hai
kisī ke raste meñ manziloñ ke nishāñ paḌe haiñ
kisī ke raste meñ nā-gahānī paḌī huī hai
ye kaun palkoñ se ḳhāk-rūbī meñ munhamik hai
ye kis kī chaukhaT pe jāvedānī paḌī huī hai
tumhāre jaane ke baad bhī silvaToñ kī sūrat
udaas bistar pe ḳhush-gumānī paḌī huī hai
agarche ab us ke saare kirdār mar chuke haiñ
magar kitāboñ meñ vo kahānī paḌī huī hai
za.īfī hasrat bharī nigāhoñ se dekhtī hai
qazā ke ghere meñ naujavānī paḌī huī hai
kahāñ se lā.ūñ maiñ pyāse dariyā kī chārasāzī
kahāñ ye ajdād kī nishānī paḌī huī hai