yuuñ sab kuchh dekh kar bhī dekhtā koī nahīñ hai
so ham pe bolte haiñ boltā koī nahīñ hai
fareb-e-ā.ina hai bas tamāsha hai ye duniyā
yahāñ par sab ḳhudā haiñ aur ḳhudā koī nahīñ hai
vo kis kī aag thī kis ne jalāyā ghar hamārā
ye sab hī jānte haiñ māntā koī nahīñ hai
havā.eñ chāñd taare phuul ḳhushbū dasht dariyā
ye sab ke sab haiñ tere aur mirā koī nahīñ hai
maiñ ġhusl-e-aks karnā chāhtā huuñ aa.ina do
ki mujh meñ ab bhī maiñ rahtā huuñ yā koī nahīñ hai
chalo ab maan lo ye dūriyāñ ḳhud-sāḳhta haiñ
vagarna dil se dil tak fāsla koī nahīñ hai