dīvār yaad aa ga.ī dar yaad aa gayā
do gaam hī chale the ki ghar yaad aa gayā
kuchh kahnā chāhte the ki ḳhāmosh ho ga.e
dastār yaad aa ga.ī sar yaad aa gayā
duniyā kī be-ruḳhī kā gila kar rahe the log
ham ko tirā tapāk magar yaad aa gayā
phir tīrgī-e-rāhguzar yaad aa ga.ī
phir vo charāġh-e-rāhguzar yaad aa gayā
'ajmal'-sirāj ham use bhuul hue to haiñ
kyā jaane kyā kareñge agar yaad aa gayā