aur to ḳhair kyā rah gayā
haañ magar ik ḳhalā rah gayā
ġham sabhī dil se ruḳhsat hue
dard be-intihā rah gayā
zaḳhm sab mundamil ho ga.e
ik darīcha khulā rah gayā
rañg jaane kahāñ uḌ ga.e
sirf ik daaġh sā rah gayā
ārzūoñ kā markaz thā dil
hasratoñ meñ ghirā rah gayā
rah gayā dil meñ ik dard sā
dil meñ ik dard sā rah gayā
zindagī se ta.alluq mirā
TuuT kar bhī juḌā rah gayā
ham bhī āḳhir pashemāñ hue
aap ko bhī gilā rah gayā
koī mehmān aayā nahīñ
ghar hamārā sajā rah gayā
us ne pūchā thā kyā haal hai
aur maiñ sochtā rah gayā
jaam kyā kyā na ḳhālī hue
dard se dil bharā rah gayā
kis ko chhoḌā ḳhizāñ ne magar
zaḳhm dil kā harā rah gayā
ye bhī kuchh kam nahīñ hai ki dil
gard-e-ġham se aTā rah gayā
kaam 'ajmal' bahut the hameñ
haath dil par dharā rah gayā